Ye sabhi jante honge ki instagram ek bahut hi popular and great user interface bali photo sharing website hai .Instagram ke duniya bhar ke lakho -crores users hai .Servay ke mutabik lagbhag 150 million log is website ko use karte hai ,iski help se hum badi hi asani se apni photo ko share kar lete hai ,ye khas taur par un logo ke liye banayi gayi hai jo photo sharing me intrest rakhte hai .Unhi logo ke liye aaj main lekar aaya hoon instagram par ek new aur pehla posts,isme hum aapko instagram photo sharing website ki kuchh saandar tricks bataunga jo aapki photo sharing me char chand laga dengi.
Must read:
Instagram ki in tricks ko use karke aap apne account ke sath bahut kuchh karna seekh jayenge to chaliye badhte hai apni post ki taraf aur jante hai kaun si best tricks hai aaj ke is post instagram users ke liye.
1. Add Hashtags like a Pro
Hashtag to aap jante hi honge ,to instagram me sabse achha aur easy method hai photo me popular and relevant instagram tag lagane ka ki aap ek alag se app download kar lijiye aur isko install kar lijiye apne android phone me ,iska naam hai hashtags ,aap simply neeche di gayi link se ye app downlaod kar lijiye hashtag add karne ke liye .Download -Hashtags Developer: Matteo BiasettonAap hashtags supertag app bhi use kar sakte hai jisko Iridescence ne develop kiya hai jo aapke liye faydemand ho sakta hai ,aap isko neeche di gyi link se downlaod kar sakte hai apne android phone me.
Price: Free
Download-hashtags supertag
Price: Free
2. Instagram ki photos ko save kaise karte hai
Aap agar instagram use kar rahe hai aur chahte hai koi perticular photo download kar sake to aap ek application ka use kar sakte hai apne android mobile me jiska naam hai Grab for Instagram-Download Photos in Mobile from Instagram ,aap isko google play store se downlaod kar sakte hai aur apni man chahi photo ko downlaod kar sakte hai.Must Read:
3. Instagram Layouts
Agar aap Collage photos apne android smartphone me banana chahte hai to aapko ek app downlaod karna hoga jiski link maine neeche di hui hai aap usko download kar sakte hai us link se ,is app ko instagram ke developer ne hi banaya hai.Aap iski help se apni photos ka layouts craete kar sakte hai aur apni photos ko remix kar sakte hai.Download -Layout from Instagram: Collage
Developer: Instagram
Price: Free
4. Ek phone me Two Instagram Accounts Run kaise kare
Ye sayad aap bhi chahte honge ki kisi ek phone me 2 accounts bana paye.To aap ye kaam simply ek hi apps ki help se kar sakte hai jiska naam hai Parallel Space-Multi Accounts ,aap is app ki help se apne ek android device me 2 instagram app ke account bana sakte hai ,aap is app ko neeche di gayi link se downlaod kar sakte hai.Download -Parallel Space-Multi Accounts
Developer: Team LBE
Price: Free
5. Instagram Post ko website me Embed kaise kare
Kabhi kabhi hum log chahte hai ki apni instagram post ko apni website par embed kare to iske liye aap kya kariye ,sabse pehle apna instagram account open karna apne computer me aur kisi ek photo ko select karna jisme aap post attach karna chahta hai ,Ab wanha par aap dekhenge ki 3 doted (bindu ya point) is par click karna aur embed bale option ko select karna ,jaise hi aap is option par click karenge to aapko ek code milega iske baad is code ko us website me add kar do jisme aap apni instgram post ke embed code ko add kar do.Must Read:
6. Instagram Photos ko Facebook par share kaise kare
Agar aap instagram ki post ko ya fir photos ko facebook par share karna chahte hai to aapko sabse pehle aapko apne instagram account ko facebook account se link karna hoga.To sabse pehle aap in dono accounts ko ek dusre se link kariye .Iske baad facebook share icon par click kariye aur apni photo ko facebook par share kar dijiye.That's it.7. Instagram Post ko Facebook par kaise dekhe
Agar aap chahte hai ki aapki sari instagram ki shared photos aapke facebook account me show kare to iske liye aap kya kariye ki sabse pehle apni facebook profile open karna iske baad more button par click karna aur instagram ko select karna ,lekin yaad rakhna ki apka instagram account facebook se connect ho.8. Saving Data While Using Instagram
Agar aapka kafi data instagram ko use karne me kharch ho jata hai to to ap kya kariye apni instagram ka account open karna fir setting me jana apne android mobile se ya tablet se aur option tab ke neeche cellular data ko select kar dena ,aur ab dusri tab me aapko select karna hoga less data ,isse aapka mobile data kam kharch hone lagega.9. Schedule Instagram Photos
agar aap schedule karke instgram photos ko share karna chahte hai to aap neeche diya gaya android app download kar lijiyeDownload Latergramme
Developer: Latergram.me
Price: Free
10. Best Alternate App for Browsing Instagram in Android Mobile
Agar aapko kisi wajah se apne instagram app ka look achha nhi lagta hai to aap grab for instagram app ko download karke apne phone me install kar lo ,isme aur bhi kayi aise feature hai jo aapko behad pasand aayenge .ye app simple sa app hai jiska ui bahut achha hai,iska sabse achha feature ye hai ki aap apne instagram photos ya fir video ko apne mobile me bhi save kar sakte hai.Aap neeche di gayi link se download kar sakte hai.Download -Grab for Instagram
Developer: GrandSoft Ltd.
Price: Free*
Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi shar buttons ka prayog kar sakte hai,aapke 1 minute kafi hai meri site ko share karne ke liye.....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.